Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Wali Uzlat

  • Ghazal


ghar yar ka humse dur paDa gai humse rahat ek taraf


ghar yaar kā ham se duur paḌā ga.ī ham se rāhat ek taraf
dil ek taraf aah ek taraf milne kī hasrat ek taraf

hai maut kā rañg mirā jīvnā jiyūñ dhundlā charāġh huuñ maiñ
sakrāt kī zulmat ek taraf hastī kī tohmat ek taraf

jī aa rahā dīda-e-tar meñ mujhe dam lene kī taab nahīñ
zo.af ek taraf dard ek taraf aur kāhish-e-tāqat ek taraf

juuñ musht-e-sipand mire a.azā jal dil ke añgāre se uḌte haiñ
dāġhoñ kā mahshar ek taraf nāloñ kī qayāmat ek taraf

dil haat de yaar ke kyūñke liyūñ pher aah jahāñ kī malāmat se
jī leve hai ġhairat ek taraf maare hai muravvat ek taraf

ġhul hai pathrāv hai laḌkoñ kā ik aah kā laTh hai haat mire
hai saarā aalam ek taraf dīvāna-e-'uzlat' ek taraf

ghar yar ka hum se dur paDa gai hum se rahat ek taraf
dil ek taraf aah ek taraf milne ki hasrat ek taraf

hai maut ka rang mera jiwna jiyun dhundla charagh hun main
sakraat ki zulmat ek taraf hasti ki tohmat ek taraf

ji aa raha dida-e-tar mein mujhe dam lene ki tab nahin
zoaf ek taraf dard ek taraf aur kahish-e-taqat ek taraf

jun musht-e-sipand mere aaza jal dil ke angare se uDte hain
daghon ka mahshar ek taraf nalon ki qayamat ek taraf

dil hat de yar ke kyunke liyun pher aah jahan ki malamat se
ji lewe hai ghairat ek taraf mare hai murawwat ek taraf

ghul hai pathraw hai laDkon ka ek aah ka laTh hai hat mere
hai sara aalam ek taraf diwana-e-'uzlat' ek taraf


Leave a comment

+