kyā zamīñ kyā āsmāñ kuchh bhī nahīñ
ham na hoñ to ye jahāñ kuchh bhī nahīñ
dīda-o-dil kī rifāqat ke baġhair
fasl-e-gul ho yā ḳhizāñ kuchh bhī nahīñ
pattharoñ meñ ham bhī patthar ho ga.e
ab ġham-e-sūd-o-ziyāñ kuchh bhī nahīñ
kyā qayāmat hai ki apne des meñ
e'tibār-e-jism-o-jāñ kuchh bhī nahīñ
kaise kaise sar-kashīda log the
jin kā ab nām-o-nishāñ kuchh bhī nahīñ
ek ehsās-e-mohabbat ke sivā
hāsil-e-umr-e-ravāñ kuchh bhī nahīñ
koī mauzū-e-suḳhan hī jab na ho
sirf andāz-e-bayāñ kuchh bhī nahīñ
kya zamin kya aasman kuchh bhi nahin
hum na hon to ye jahan kuchh bhi nahin
dida-o-dil ki rifaqat ke baghair
fasl-e-gul ho ya KHizan kuchh bhi nahin
pattharon mein hum bhi patthar ho gae
ab gham-e-sud-o-ziyan kuchh bhi nahin
kya qayamat hai ki apne des mein
e'tibar-e-jism-o-jaan kuchh bhi nahin
kaise kaise sar-kashida log the
jin ka ab nam-o-nishan kuchh bhi nahin
ek ehsas-e-mohabbat ke siwa
hasil-e-umr-e-rawan kuchh bhi nahin
koi mauzu-e-suKHan hi jab na ho
sirf andaz-e-bayan kuchh bhi nahin
Source: Book : Pakistani Adab (Pg. 283) Author : Dr. Rashid Amjad Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009) Edition : 2009
Leave a comment