ab koī aarzū nahīñ zauq-e-payām ke sivā
ab koī justujū nahīñ shauq-e-salām ke sivā
koī sharīk-e-ġham nahīñ ab terī yaad ke sivā
koī anīs-e-dil nahīñ ab tere naam ke sivā
kāhish-e-ārzū sahī hāsil-e-zindagī magar
hāsil-e-ārzū hai kyā soz-e-mudām ke sivā
aah koī na kar sakā chāra-e-talḳhī-e-firāq
nāla-e-sub.h ke baġhair giriya-e-shām ke sivā
terī nigāh-e-mast se mujh pe ye raaz khul gayā
aur bhī gardisheñ haiñ kuchh gardish-e-jām ke sivā
rañg-e-bahār par na phuul bū-e-chaman se darguzar
ye bhī haiñ ḳhushnumā fareb-e-dāna-o-dām ke sivā
mar ke hayāt-e-jāvidāñ ishq ko mil ga.ī 'hafīz'
jī ke hosh ko kyā milā marg-e-davām ke sivā
ab koi aarzu nahin zauq-e-payam ke siwa
ab koi justuju nahin shauq-e-salam ke siwa
koi sharik-e-gham nahin ab teri yaad ke siwa
koi anis-e-dil nahin ab tere nam ke siwa
kahish-e-arzu sahi hasil-e-zindagi magar
hasil-e-arzu hai kya soz-e-mudam ke siwa
aah koi na kar saka chaara-e-talKHi-e-firaq
nala-e-subh ke baghair giriya-e-sham ke siwa
teri nigah-e-mast se mujh pe ye raaz khul gaya
aur bhi gardishen hain kuchh gardish-e-jam ke siwa
rang-e-bahaar par na phul bu-e-chaman se darguzar
ye bhi hain KHushnuma fareb-e-dana-o-dam ke siwa
mar ke hayat-e-jawidan ishq ko mil gai 'hafiz'
ji ke hosh ko kya mila marg-e-dawam ke siwa
Leave a comment