jaan ise chalāne meñ ahrman kī khaptī hai
rāt-din magar duniyā naam terā japtī hai
raushnī ke jalve haiñ phalte phūlte jañgal
jin kī chhattr-chhāyā meñ tīrgī panaptī hai
guuñj sī yahāñ shab-bhar tum jo roz sunte ho
dasht kī panāhoñ meñ ḳhāmushī taḌaptī hai
kyā kahā kaho to phir dhyān husn sīrat kā
ai miyāñ mirī maano chhāp lo jo chhaptī hai
nā-gahāñ magar is meñ phuul kyuuñ nahīñ khilte
reg-zār kī mānind ḳhāk-e-dil bhī taptī hai
husn utar ke aatā hai yuuñ 'umañg' āñkhoñ meñ
jhiil jis tarah gahrī raushnī haḌaptī hai
jaan ise chalane mein ahrman ki khapti hai
raat-din magar duniya nam tera japti hai
raushni ke jalwe hain phalte phulte jangal
jin ki chhattr-chhaya mein tirgi panapti hai
gunj si yahan shab-bhar tum jo roz sunte ho
dasht ki panahon mein KHamushi taDapti hai
kya kaha kaho to phir dhyan husn sirat ka
ai miyan meri mano chhap lo jo chhapti hai
na-gahan magar is mein phul kyun nahin khilte
reg-zar ki manind KHak-e-dil bhi tapti hai
husn utar ke aata hai yun 'umang' aankhon mein
jhil jis tarah gahri raushni haDapti hai
Leave a comment