na lāzim tavaqqo.a hai ahal-e-mahal se
karo ziist shādāb ilm-o-amal se
hijāb-o-hayā sochte rah ga.e haiñ
milī ishq meñ kāmyābī pahal se
yuuñ nākāmiyāñ ham-safar haiñ musalsal
ki le de ke ummīd hai ab ajal se
hayāt-o-fanā kā ye kyā silsila hai
nahīñ raaz afshāñ huā ye azal se
yatīmī-o-lā-vārsī bevgī ke
ba-juz kuchh na hāsil hai jañg-o-jadal se
na lazim tawaqqoa hai ahal-e-mahal se
karo zist shadab ilm-o-amal se
hijab-o-haya sochte rah gae hain
mili ishq mein kaamyabi pahal se
yun nakaamiyan ham-safar hain musalsal
ki le de ke ummid hai ab ajal se
hayat-o-fana ka ye kya silsila hai
nahin raaz afshan hua ye azal se
yatimi-o-la-warsi bewgi ke
ba-juz kuchh na hasil hai jang-o-jadal se
Leave a comment