Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ehsan Ali Khan

  • Ghazal


hamari samt hain sare Dhalaw


hamārī samt haiñ saare Dhalāv
paḌā har sail kā ham par dabāv

mile haiñ sāda-lauhī kī sazā meñ
luTere nāḳhudā kāġhaz kī naav

vahāñ bhī vahshateñ tanhā.iyāñ haiñ
zarā sahrā se vāpas ghar to jaao

na jaane kab ye aag aa jaa.e bāhar
ki sīnoñ meñ dahakte haiñ alaav

havā kā jis taraf ruḳh ho gayā hai
usī jānib hai shāḳhoñ kā jhukāo

zamīñ kyā āsmāñ bhī muntazir hai
hisār-e-zāt se bāhar to aao

kaheñge log 'ahsan' tum ko pāgal
mohabbat hai to ye tohmat uThāo

hamari samt hain sare Dhalaw
paDa har sail ka hum par dabaw

mile hain sada-lauhi ki saza mein
luTere naKHuda kaghaz ki naw

wahan bhi wahshaten tanhaiyan hain
zara sahra se wapas ghar to jao

na jaane kab ye aag aa jae bahar
ki sinon mein dahakte hain alaw

hawa ka jis taraf ruKH ho gaya hai
usi jaanib hai shaKHon ka jhukao

zamin kya aasman bhi muntazir hai
hisar-e-zat se bahar to aao

kahenge log 'ahsan' tum ko pagal
mohabbat hai to ye tohmat uThao


Source: Book : siip (Magzin) (Pg. 232) Author : Nasiim Durraani Publication : Fikr-e-Nau (39 (Quarterly)) Edition : 39 (Quarterly)

Leave a comment

+