Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Mahendra Partap Chand

  • Ghazal


tere KHayal ne ehsan la-jawab kiya


tire ḳhayāl ne ehsān lā-javāb kiyā
nafas nafas ko mire vaqf-e-iztirāb kiyā

adū kā harf-e-malāmat banā mirī shohrat
usī ne ḳhaak ke zarre ko āftāb kiyā

tirī nazar ko nazar lag na jaa.e duniyā kī
bhare jahāñ meñ jo merā hī intiḳhāb kiyā

qadam qadam pe rahī justajū-e-nām-o-numūd
isī havas ne hameñ umr-bhar ḳharāb kiyā

azal ke din se añdhere mirā muqaddar the
tirī nazar ne mujhe rashk-e-māhtāb kiyā

gilā kiyā thā taġhāful kā 'chāñd' kyuuñ us se
tujhī ko ashk-e-nadāmat ne aap aab kiyā

tere KHayal ne ehsan la-jawab kiya
nafas nafas ko mere waqf-e-iztirab kiya

adu ka harf-e-malamat bana meri shohrat
usi ne KHak ke zarre ko aaftab kiya

teri nazar ko nazar lag na jae duniya ki
bhare jahan mein jo mera hi intiKHab kiya

qadam qadam pe rahi justaju-e-nam-o-numud
isi hawas ne hamein umr-bhar KHarab kiya

azal ke din se andhere mera muqaddar the
teri nazar ne mujhe rashk-e-mahtab kiya

gila kiya tha taghaful ka 'chand' kyun us se
tujhi ko ashk-e-nadamat ne aap aab kiya


Source: Jate Hue Lamho

Leave a comment

+