Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jaleel Manikpuri

  • Ghazal


ye rang gulab ki kali ka


ye rañg gulāb kī kalī kā
naqsha hai kis kī kam-sinī kā

bulbul kī bahār meñ na pūchho
muñh chūmtī hai kalī kalī kā

har vaqt haiñ maut kī duā.eñ
allāh re lutf zindagī kā

ġhunchoñ ko sabā ne gudgudāyā
dushvār hai zabt ab hañsī kā

samjhe the na ham ki tum pe marnā
ho jā.egā rog zindagī kā

hoñ ek se sab hasīn kyūñkar
hai rañg judā kalī kalī kā

muñh pher ke yuuñ chalī javānī
yaad aa gayā rūThnā kisī kā

ā.īna banā rahe ho dil kā
dil TuuT na jaa.e aarsī kā

dekho na 'jalīl' ko miTāo
miT jā.egā naam āshiqī kā

ye rang gulab ki kali ka
naqsha hai kis ki kam-sini ka

bulbul ki bahaar mein na puchho
munh chumti hai kali kali ka

har waqt hain maut ki duaen
allah re lutf zindagi ka

ghunchon ko saba ne gudgudaya
dushwar hai zabt ab hansi ka

samjhe the na hum ki tum pe marna
ho jaega rog zindagi ka

hon ek se sab hasin kyunkar
hai rang juda kali kali ka

munh pher ke yun chali jawani
yaad aa gaya ruThna kisi ka

aaina bana rahe ho dil ka
dil TuT na jae aarsi ka

dekho na 'jalil' ko miTao
miT jaega nam aashiqi ka

RECITATIONS Fasih Akmal



00:00/00:00 ye rang gulab ki kali ka Fasih Akmal

Leave a comment

+