Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ghulam Rabbani Taban

  • Ghazal


kamal-e-be-KHabari ko KHabar samajhte hain


kamāl-e-be-ḳhabarī ko ḳhabar samajhte haiñ
tirī nigāh ko jo mo'tabar samajhte haiñ

faroġh-e-tūr kī yuuñ to hazār tāvīleñ
ham ik charāġh-e-sar-e-rahguzar samajhte haiñ

lab-e-nigār ko zahmat na do ḳhudā ke liye
ham ahl-e-shauq zabān-e-nazar samajhte haiñ

janāb-e-shaiḳh samajhte haiñ ḳhuub rindoñ ko
janāb-e-shaiḳh ko ham bhī magar samajhte haiñ

vo ḳhaak samjheñge rāz-e-gul-o-saman 'tābāñ'
jo rañg-o-bū ko fareb-e-nazar samajhte haiñ

kamal-e-be-KHabari ko KHabar samajhte hain
teri nigah ko jo mo'tabar samajhte hain

farogh-e-tur ki yun to hazar tawilen
hum ek charagh-e-sar-e-rahguzar samajhte hain

lab-e-nigar ko zahmat na do KHuda ke liye
hum ahl-e-shauq zaban-e-nazar samajhte hain

janab-e-shaiKH samajhte hain KHub rindon ko
janab-e-shaiKH ko hum bhi magar samajhte hain

wo KHak samjhenge raaz-e-gul-o-saman 'taban'
jo rang-o-bu ko fareb-e-nazar samajhte hain

RECITATIONS Nomaan Shauque



00:00/00:00 kamal-e-be-KHabari ko KHabar samajhte hain Nomaan Shauque

Leave a comment

+