Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Mahaveer Uttaranchali

  • Ghazal


gharibon ko faqat updesh ki ghuTTi pilate ho


ġharīboñ ko faqat updesh kī ghuTTī pilāte ho
baḌe ārām se tum chain kī bansī bajāte ho

hai mushkil daur sūkhī roTiyāñ bhī duur haiñ ham se
maze se tum kabhī kaajū kabhī kishmish chabāte ho

nazar aatī nahīñ muflis kī āñkhoñ meñ to ḳhush-hālī
kahāñ tum rāt-din jhūThe unheñ sapne dikhāte ho

añdherā kar ke baiThe ho hamārī zindagānī meñ
magar apnī hathelī par nayā sūraj ugāte ho

vyvasthā kashTkārī kyuuñ na ho kirdār aisā hai
ye jantā jāntī hai sab kahāñ tum sar jhukāte ho

gharibon ko faqat updesh ki ghuTTi pilate ho
baDe aaram se tum chain ki bansi bajate ho

hai mushkil daur sukhi roTiyan bhi dur hain hum se
maze se tum kabhi kaju kabhi kishmish chabaate ho

nazar aati nahin muflis ki aankhon mein to KHush-haali
kahan tum raat-din jhuThe unhen sapne dikhate ho

andhera kar ke baiThe ho hamari zindagani mein
magar apni hatheli par naya suraj ugate ho

wywastha kashTkari kyun na ho kirdar aisa hai
ye janta jaanti hai sab kahan tum sar jhukate ho


Leave a comment

+