Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Tabish Dehlvi

  • Ghazal


tabish hawas-e-lazzat-e-azar kahan tak


'tābish' havas-e-lazzat-e-āzār kahāñ tak
rāhat se ye ġham phir bhī mire yaar kahāñ tak

har roz ik āvāza anal-haq kā lagā.eñ
dekheñ to ki hai silsila-e-dār kahāñ tak

har rāste se manzil-e-hastī hai bahut duur
jā.egā mire saath ġham-e-yār kahāñ tak

haañ ta.ana-e-aġhyār ke nashtar hī se khul jaa.e
ik zaḳhm rahegā lab-e-guftār kahāñ tak

haiñ is ke ta.alluq se aziiz ahl-e-jahāñ bhī
le jā.egī āḳhir havas-e-yār kahāñ tak

ā.īna-dar-ā.īna dar-ā.īna tirā husn
hairāñ hoñ tire tālib-e-dīdār kahāñ tak

hotī hī nahīñ sub.h-e-qayāmat bhī numūdār
jāgeñge shab-e-hijr ke bīmār kahāñ tak

phailī huī har samt kaḌī dhuup hai 'tābish'
jā.egā koī sāya-e-dīvār kahāñ tak

'tabish' hawas-e-lazzat-e-azar kahan tak
rahat se ye gham phir bhi mere yar kahan tak

har roz ek aawaza anal-haq ka lagaen
dekhen to ki hai silsila-e-dar kahan tak

har raste se manzil-e-hasti hai bahut dur
jaega mere sath gham-e-yar kahan tak

han tana-e-aghyar ke nashtar hi se khul jae
ek zaKHm rahega lab-e-guftar kahan tak

hain is ke talluq se aziz ahl-e-jahan bhi
le jaegi aaKHir hawas-e-yar kahan tak

aaina-dar-aina dar-aina tera husn
hairan hon tere talib-e-didar kahan tak

hoti hi nahin subh-e-qayamat bhi numudar
jagenge shab-e-hijr ke bimar kahan tak

phaili hui har samt kaDi dhup hai 'tabish'
jaega koi saya-e-diwar kahan tak


Source: Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002)

Leave a comment

+