Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Fareed Parbati

  • Ghazal


aur kuchh is ke siwa ahl-e-nazar jaante hain


aur kuchh is ke sivā ahl-e-nazar jānte haiñ
pagḌiyāñ apnī bachāne kā hunar jānte haiñ

ik sitāre ko ziyā-bār dikhāne ke liye
vo bujhā.eñge sabhī shams-o-qamar jānte haiñ

ḳhvāb meñ dekhte haiñ khiḌkiyāñ har ghar kī khulī
duur ho jā.egā ab shahr se Dar jānte haiñ

mezbānī thī kabhī jin meñ mayassar terī
palaT ā.eñge vahī shām-o-sahar jānte haiñ

tirī jholī meñ sitāre ye nahīñ girne ke
har talabgār kā vo tarz-e-nazar jānte haiñ

ye jo sustāne yahāñ aate haiñ sāhab ik din
saa.e ke saath vo māñgeñge shajar jānte haiñ

tez āñdhī se diye saare bachāne ko 'farīd'
ḳhud ko rakkhegā sar-e-rāhguzar jānte haiñ

aur kuchh is ke siwa ahl-e-nazar jaante hain
pagDiyan apni bachane ka hunar jaante hain

ek sitare ko ziya-bar dikhane ke liye
wo bujhaenge sabhi shams-o-qamar jaante hain

KHwab mein dekhte hain khiDkiyan har ghar ki khuli
dur ho jaega ab shahr se Dar jaante hain

mezbani thi kabhi jin mein mayassar teri
palaT aaenge wahi sham-o-sahar jaante hain

teri jholi mein sitare ye nahin girne ke
har talabgar ka wo tarz-e-nazar jaante hain

ye jo sustane yahan aate hain sahab ek din
sae ke sath wo mangenge shajar jaante hain

tez aandhi se diye sare bachane ko 'farid'
KHud ko rakkhega sar-e-rahguzar jaante hain


Leave a comment

+