Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Aal-e-Ahmad Suroor

  • Ghazal


hum na is Toli mein the yaro na us Toli mein the


ham na is Tolī meñ the yaaro na us Tolī meñ the
ne kisī kī jeb meñ the na kisī jholī meñ the

banda-parvar sirf nazzāre pe qadġhan kis liye
phuul phal jo baaġh ke the aap kī jholī meñ the

aap ke nāroñ meñ lalkāroñ meñ kaise ā.eñge
zamzame jo an-kahī ik pyaar kī bolī meñ the

phir kisī kuufe meñ tanhā hai koī ibn-e-aqīl
us ke sāthī sab ke sab sarkār kī Tolī meñ the

ab dhanak ke rañg bhī un ko bhale lagte nahīñ
mast saare shahr vaale ḳhuun kī holī meñ the

hum na is Toli mein the yaro na us Toli mein the
ne kisi ki jeb mein the na kisi jholi mein the

banda-parwar sirf nazzare pe qadghan kis liye
phul phal jo bagh ke the aap ki jholi mein the

aap ke naron mein lalkaron mein kaise aaenge
zamzame jo an-kahi ek pyar ki boli mein the

phir kisi kufe mein tanha hai koi ibn-e-aqil
us ke sathi sab ke sab sarkar ki Toli mein the

ab dhanak ke rang bhi un ko bhale lagte nahin
mast sare shahr wale KHun ki holi mein the

RECITATIONS Nomaan Shauque



00:00/00:00 hum na is Toli mein the yaro na us Toli mein the Nomaan Shauque

Leave a comment

+