Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Fana bulandshahri

  • Ghazal


ye tamanna hai ki is tarah musalman hota


ye tamannā hai ki is tarah musalmāñ hotā
maiñ tire husn pe sau jaan se qurbāñ hotā

ālam-e-josh-e-junūñ meñ jo adā hotī namāz
sar mirā sar kahāñ hotā dar-e-jānāñ hotā

kuchh tamannā hai to bas ye hai mohabbat meñ mujhe
mere hāthoñ meñ mire yaar kā dāman hotā

tū agar apnā banā letā mujhe mere sanam
kyuuñ mohabbat mirā chāk-e-garebāñ hotā

sab karishma hai faqat rañg-e-duī kā varna
mazhab-e-pīr-e-muġhāñ mushrib-e-rindāñ hotā

na dikhāte mujhe jalva magar itnā karte
aap kā ġham mirī taskīn kā sāmāñ hotā

thaam kar maiñ tire dāman kā 'fanā' ho jaatā
kaash is tarah mukammal mirā īmāñ hotā

ye tamanna hai ki is tarah musalman hota
main tere husn pe sau jaan se qurban hota

aalam-e-josh-e-junun mein jo ada hoti namaz
sar mera sar kahan hota dar-e-jaanan hota

kuchh tamanna hai to bas ye hai mohabbat mein mujhe
mere hathon mein mere yar ka daman hota

tu agar apna bana leta mujhe mere sanam
kyun mohabbat mera chaak-e-gareban hota

sab karishma hai faqat rang-e-dui ka warna
mazhab-e-pir-e-mughan mushrib-e-rindan hota

na dikhate mujhe jalwa magar itna karte
aap ka gham meri taskin ka saman hota

tham kar main tere daman ka 'fana' ho jata
kash is tarah mukammal mera iman hota


Leave a comment

+