kabhī ishq se kabhī pyaar se
kabhī mausamoñ kī bahār se
shab-e-hijr raushnī ho ga.ī
mire āñsūoñ kī qatār se
na bahal sakī na nikal sakī
tire dil ke ek bhī taar se
na hī tere dil meñ Thahar sakī
kabhī iztirāb-o-qarār se
maiñ nikal ke ab kahāñ jā.ūñgī
tirī chāhatoñ ke hisār se
ye jo chashm-e-'māham' ubal paḌī
tire ḳhvāb hī ke ḳhumār se
kabhi ishq se kabhi pyar se
kabhi mausamon ki bahaar se
shab-e-hijr raushni ho gai
mere aansuon ki qatar se
na bahal saki na nikal saki
tere dil ke ek bhi tar se
na hi tere dil mein Thahar saki
kabhi iztirab-o-qarar se
main nikal ke ab kahan jaungi
teri chahaton ke hisar se
ye jo chashm-e-'maham' ubal paDi
tere KHwab hi ke KHumar se
Source: Book : Word File Mail By Salim Saleem
Leave a comment