Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Tabish Dehlvi

  • Ghazal


nafas ki zad pe har ek shola-e-tamanna hai


nafas kī zad pe har ik shola-e-tamannā hai
havā ke sāmne kis kā charāġh jaltā hai

tirā visāl to kis ko nasīb hai lekin
tire firāq kā aalam bhī kis ne dekhā hai

abhī haiñ qurb ke kuchh aur marhale baaqī
ki tujh ko pā ke hameñ phir tirī tamannā hai

nafas ki zad pe har ek shola-e-tamanna hai
hawa ke samne kis ka charagh jalta hai

tera visal to kis ko nasib hai lekin
tere firaq ka aalam bhi kis ne dekha hai

abhi hain qurb ke kuchh aur marhale baqi
ki tujh ko pa ke hamein phir teri tamanna hai

RECITATIONS Tabish Dehlvi



00:00/00:00 nafas ki zad pe har ek shola-e-tamanna hai Tabish Dehlvi

Leave a comment

+