Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Nabeel Ahmad Nabeel

  • Ghazal


lahu ki aanch jaisa ho raha hai


lahū kī aañch jaisā ho rahā hai
tumhārā ġham sitāra ho rahā hai

ye kaun aayā hai bām-e-ārzū par
fazāoñ meñ ujālā ho rahā hai

jhaḌī hai dhuul kis ke naqsh-e-pā se
bahut āsān rasta ho rahā hai

sikuḌtī jā rahī hai mujh pe dhartī
badan merā kushāda ho rahā hai

mirī palkoñ pe ik mauhūm aañsū
ki shabnam se sharāra ho rahā hai

samajhtī hai yahī duniyā ki mujh ko
mohabbat meñ ḳhasāra ho rahā hai

asā jab se 'nabīl' aayā mayassar
samundar bhī kinārā ho rahā hai

lahu ki aanch jaisa ho raha hai
tumhaara gham sitara ho raha hai

ye kaun aaya hai baam-e-arzu par
fazaon mein ujala ho raha hai

jhaDi hai dhul kis ke naqsh-e-pa se
bahut aasan rasta ho raha hai

sikuDti ja rahi hai mujh pe dharti
badan mera kushada ho raha hai

meri palkon pe ek mauhum aansu
ki shabnam se sharara ho raha hai

samajhti hai yahi duniya ki mujh ko
mohabbat mein KHasara ho raha hai

asa jab se 'nabil' aaya mayassar
samundar bhi kinara ho raha hai


Leave a comment

+