Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ehsan Danish

  • Ghazal


justuju rahraw-e-ulfat ki jo kaamil ho jae


justujū rahrav-e-ulfat kī jo kāmil ho jaa.e
shauq-e-manzil hī charāġh-e-rah-e-manzil ho jaa.e

haa.e ye josh-e-tamannā ye nigūñ-sārī-e-ishq
vo jo aise meñ chale aa.eñ to mushkil ho jaa.e

justujū shart hai manzil nahīñ mashrūt-e-talab
gum ho is tarah ki gard-e-rah-e-manzil ho jaa.e

vasl kā ḳhvāb kujā lazzat-e-dīdār kujā
hai ġhanīmat jo tirā dard bhī hāsil ho jaa.e

zabt bhī sabr bhī imkān meñ sab kuchh hai magar
pahle kambaḳht mirā dil to mirā dil ho jaa.e

aah us āshiq-e-nāshād kā jiinā ai dost
jis ko marnā bhī tire ishq meñ mushkil ho jaa.e

kāmrāñ hai vo mohabbat jo bane rūh-e-gudāz
dard-e-dil had se guzar jaa.e to ḳhud dil ho jaa.e

mahfil-e-dost meñ chaltā to huuñ ai dīda-e-shauq
ishq kā raaz na afsana-e-mahfil ho jaa.e

qābil-e-rashk bane zindagī-e-ishq us kī
jis kī tū zindagī-e-ishq kā hāsil ho jaa.e

apne 'ehsān' ko tū hī koī tadbīr batā
jis se ye nañg-e-mohabbat tire qābil ho jaa.e

justuju rahraw-e-ulfat ki jo kaamil ho jae
shauq-e-manzil hi charagh-e-rah-e-manzil ho jae

hae ye josh-e-tamanna ye nigun-sari-e-ishq
wo jo aise mein chale aaen to mushkil ho jae

justuju shart hai manzil nahin mashrut-e-talab
gum ho is tarah ki gard-e-rah-e-manzil ho jae

wasl ka KHwab kuja lazzat-e-didar kuja
hai ghanimat jo tera dard bhi hasil ho jae

zabt bhi sabr bhi imkan mein sab kuchh hai magar
pahle kambaKHt mera dil to mera dil ho jae

aah us aashiq-e-nashad ka jina ai dost
jis ko marna bhi tere ishq mein mushkil ho jae

kaamran hai wo mohabbat jo bane ruh-e-gudaz
dard-e-dil had se guzar jae to KHud dil ho jae

mahfil-e-dost mein chalta to hun ai dida-e-shauq
ishq ka raaz na afsana-e-mahfil ho jae

qabil-e-rashk bane zindagi-e-ishq us ki
jis ki tu zindagi-e-ishq ka hasil ho jae

apne 'ehsan' ko tu hi koi tadbir bata
jis se ye nang-e-mohabbat tere qabil ho jae


Source: Book : Ghazaliyat-e-ahsaan Danish (Pg. 244) Author : Shabnam Parveen Publication : Asghar Publishers (2006) Edition : 2006

Leave a comment

+