Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Zaheer Dehlvi

  • Ghazal


wo kisi se tumko jo rabt tha tumhein yaad ho ki na yaad ho


vo kisī se tum ko jo rabt thā tumheñ yaad ho ki na yaad ho
vo kisī pe thā koī mubtilā tumheñ yaad ho ki na yaad ho

kabhī ham meñ tum meñ bhī pyaar thā tumheñ yaad ho ki na yaad ho
kabhī ham bhī tum bhī the ek-jā tumheñ yaad ho ki na yaad ho

vo banānā chehra itaab kā vo na denā muñh se javāb kā
vo kisī kī minnat o iltijā tumheñ yaad ho ki na yaad ho

tumheñ jis kī chaah pe naaz thā jo tumhārā mahram-e-rāz thā
maiñ vahī huuñ āshiq-e-bā-vafā tumheñ yaad ho ki na yaad ho

kabhī ham meñ tum meñ bhī saaz the kabhī ham bhī vaqf-e-niyāz the
hameñ yaad thā so jatā diyā tumheñ yaad ho ki na yaad ho

kabhī bolnā vo ḳhafā ḳhafā kabhī baiThnā vo judā judā
vo zamāna naaz o niyāz kā tumheñ yaad ho ki na yaad ho

abhī thoḌe din kā hai tazkira ki raqīb kahte the barmalā
mire aage tum ko burā-bhalā tumheñ yaad ho ki na yaad ho

kabhī hañs ke muñh ko chhupā liyā kabhī muskurā ke dikhā diyā
kabhī shoḳhiyāñ thiiñ kabhī hayā tumheñ yaad ho ki na yaad ho

jo banā hai ārif-e-bā-ḳhudā ye vahī 'zahīr' hai be-hayā
vo jo rind-e-ḳhāna-badosh thā tumheñ yaad ho ki na yaad ho

wo kisi se tum ko jo rabt tha tumhein yaad ho ki na yaad ho
wo kisi pe tha koi mubtila tumhein yaad ho ki na yaad ho

kabhi hum mein tum mein bhi pyar tha tumhein yaad ho ki na yaad ho
kabhi hum bhi tum bhi the ek-ja tumhein yaad ho ki na yaad ho

wo banana chehra itab ka wo na dena munh se jawab ka
wo kisi ki minnat o iltija tumhein yaad ho ki na yaad ho

tumhein jis ki chah pe naz tha jo tumhaara mahram-e-raaz tha
main wahi hun aashiq-e-ba-wafa tumhein yaad ho ki na yaad ho

kabhi hum mein tum mein bhi saz the kabhi hum bhi waqf-e-niyaz the
hamein yaad tha so jata diya tumhein yaad ho ki na yaad ho

kabhi bolna wo KHafa KHafa kabhi baiThna wo juda juda
wo zamana naz o niyaz ka tumhein yaad ho ki na yaad ho

abhi thoDe din ka hai tazkira ki raqib kahte the barmala
mere aage tum ko bura-bhala tumhein yaad ho ki na yaad ho

kabhi hans ke munh ko chhupa liya kabhi muskura ke dikha diya
kabhi shoKHiyan thin kabhi haya tumhein yaad ho ki na yaad ho

jo bana hai aarif-e-ba-KHuda ye wahi 'zahir' hai be-haya
wo jo rind-e-KHana-badosh tha tumhein yaad ho ki na yaad ho


Leave a comment

+