hote ḳhudā ke us but-e-kāfir kī chaah kī
itnī to baat mujh se huī hai gunāh kī
soz-e-darūñ kiyā jo mirā sham.a ne bayāñ
jal kar zabān kaaT lī mere gavāh kī
bhartā hai aaj ḳhuub tarāre samand-e-nāz
qumchī hai un ke haath meñ zulf-e-siyāh kī
dekhā huzūr ko jo mukaddar to mar ga.e
ham miT ga.e jo aap ne mailī nigāh kī
furqat meñ yaad aa.e jo lutf-e-shab-e-visāl
ik aah bhar ke jānib-e-gardūñ nigāh kī
sunsān kar diyā mire pahlū ko le ke dil
zālim ne luuT kar mirī bastī tabāh kī
vo mujh se kah rahe haiñ ishāroñ meñ dekhnā
sab taaḌ jā.eñge sar-e-mahfil jo aah kī
ham vo the dil hī dil meñ kiyā zabt-e-rāz-e-ishq
sadme uThā ke mar ga.e muñh se na aah kī
afsos hai ki maiñ to phirūñ dar-ba-dar ḳharāb
tum ko ḳhabar na ho mire hāl-e-tabāh kī
'jauhar' ḳhudā ke fazl se aisī ġhazal kahī
shohrat mushā.ire meñ huī vāh-vāh kī
hote KHuda ke us but-e-kafir ki chah ki
itni to baat mujh se hui hai gunah ki
soz-e-darun kiya jo mera shama ne bayan
jal kar zaban kaT li mere gawah ki
bharta hai aaj KHub tarare samand-e-naz
qumchi hai un ke hath mein zulf-e-siyah ki
dekha huzur ko jo mukaddar to mar gae
hum miT gae jo aap ne maili nigah ki
furqat mein yaad aae jo lutf-e-shab-e-visal
ek aah bhar ke jaanib-e-gardun nigah ki
sunsan kar diya mere pahlu ko le ke dil
zalim ne luT kar meri basti tabah ki
wo mujh se kah rahe hain ishaaron mein dekhna
sab taD jaenge sar-e-mahfil jo aah ki
hum wo the dil hi dil mein kiya zabt-e-raaz-e-ishq
sadme uTha ke mar gae munh se na aah ki
afsos hai ki main to phirun dar-ba-dar KHarab
tum ko KHabar na ho mere haal-e-tabah ki
'jauhar' KHuda ke fazl se aisi ghazal kahi
shohrat mushaire mein hui wah-wah ki
Source: Book : Intekhab Kalam Lala M.R Jauhar (Pg. 51)
Leave a comment