Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Charkh Chinioti

  • Ghazal


husn ke jalwe luTae teri ranai ne


husn ke jalve luTā.e tirī ra.anā.ī ne
raaz sab khol diye ek hī añgḌā.ī ne

rañg bhar kar tirī tasvīr meñ jazb-e-ġham kā
apnī tasvīr banā dī tire saudā.ī ne

vasl-e-mahbūb kī tadbīr sujhā.ī mujh ko
haq-parastī ne aqīdat ne jabīñ-sā.ī ne

ham ne sochā thā ki bujh jā.eñge ġham ke sho.ale
aa ke kuchh aur havā dī unheñ purvā.ī ne

shorish-e-dahr ne begāna kiyā ḳhud se mujhe
āgahī baḳhshī mujhe gosha-e-tanhā.ī ne

ek ma.asūm se chehre pe ra.ūnat kī numūd
haa.e kyā zulm kiyā ālam-e-barnā.ī ne

gardish-e-vaqt ne maiḳhāne meñ dam toḌ diyā
jaane kyā chiiz pilā dī tire sahbā.ī ne

ruḳh tamāshe kā badal Daalā achānak aa kar
ek ḳhush-chehra ḳhush-andāz tamāshā.ī ne

charḳh aapas ke ta.alluq kā ye andāz bhī dekh
kar diyā un ko bhī rusvā mirī rusvā.ī ne

husn ke jalwe luTae teri ranai ne
raaz sab khol diye ek hi angDai ne

rang bhar kar teri taswir mein jazb-e-gham ka
apni taswir bana di tere saudai ne

wasl-e-mahbub ki tadbir sujhai mujh ko
haq-parasti ne aqidat ne jabin-sai ne

hum ne socha tha ki bujh jaenge gham ke shoale
aa ke kuchh aur hawa di unhen purwai ne

shorish-e-dahr ne begana kiya KHud se mujhe
aagahi baKHshi mujhe gosha-e-tanhai ne

ek masum se chehre pe raunat ki numud
hae kya zulm kiya aalam-e-barnai ne

gardish-e-waqt ne maiKHane mein dam toD diya
jaane kya chiz pila di tere sahbai ne

ruKH tamashe ka badal Dala achanak aa kar
ek KHush-chehra KHush-andaz tamashai ne

charKH aapas ke talluq ka ye andaz bhi dekh
kar diya un ko bhi ruswa meri ruswai ne


Source: Husn-e-sukhan

Leave a comment

+