ik shaḳhs bā-zamīr mirā yaar 'mus.hafī'
merī tarah vafā kā parastār 'mus.hafī'
rahtā thā kaj-kulāh amīroñ ke darmiyāñ
yaksar liye hue mirā kirdār 'mus.hafī'
dete haiñ daad ġhair ko kab ahl-e-lucknow
kab daad kā thā un se talabgār 'mus.hafī'
nā-qadrī-e-jahāñ se ka.ī baar aa ke tañg
ik umr sher se rahā bezār 'mus.hafī'
darbār meñ thā baar kahāñ us ġharīb ko
barsoñ misāl-e-'mīr' phirā ḳhvār 'mus.hafī'
maiñ ne bhī us galī meñ guzārī hai ro ke umr
miltā hai us galī meñ kise pyaar 'mus.hafī'
ek shaKHs ba-zamir mera yar 'mushafi'
meri tarah wafa ka parastar 'mushafi'
rahta tha kaj-kulah amiron ke darmiyan
yaksar liye hue mera kirdar 'mushafi'
dete hain dad ghair ko kab ahl-e-lucknow
kab dad ka tha un se talabgar 'mushafi'
na-qadri-e-jahan se kai bar aa ke tang
ek umr sher se raha bezar 'mushafi'
darbar mein tha bar kahan us gharib ko
barson misal-e-'mir' phira KHwar 'mushafi'
main ne bhi us gali mein guzari hai ro ke umr
milta hai us gali mein kise pyar 'mushafi'
Source: Book : Kulliyat-e-Habib Jalib (Pg. 281) Author : Habib Jalib Publication : Tahir Sons Publishers (2012) Edition : 2012
Leave a comment