Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Tabassum Rizvi

  • Ghazal


ashkon ke guhar yun sar-e-mizhgan bhi na tolen


ashkoñ ke guhar yuuñ sar-e-mizhgāñ bhī na toleñ
in āñkhoñ se kah do ki abhī raaz na kholeñ

taskīn-e-dil-o-jāñ kī to nikle koī sūrat
is neza-e-mizgāñ kī anī dil chubho leñ

āñkhoñ se kareñ kyā tunak aabī kī shikāyat
dil hī ke lahū se kabhī palkoñ ko bhigo leñ

chāhat to har ik baat se zāhir hai ab un kī
har chand zabāñ se na kaheñ muñh se na boleñ

qismat meñ agar tum se bichhaḌnā hī likkhā hai
ik baar tumheñ apne se lipTā ke to ro leñ

ashkon ke guhar yun sar-e-mizhgan bhi na tolen
in aankhon se kah do ki abhi raaz na kholen

taskin-e-dil-o-jaan ki to nikle koi surat
is neza-e-mizgan ki ani dil chubho len

aankhon se karen kya tunak aabi ki shikayat
dil hi ke lahu se kabhi palkon ko bhigo len

chahat to har ek baat se zahir hai ab un ki
har chand zaban se na kahen munh se na bolen

qismat mein agar tum se bichhaDna hi likkha hai
ek bar tumhein apne se lipTa ke to ro len


Leave a comment

+