Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Habib Jalib

  • Ghazal


ye aur baat teri gali mein na aaen hum


ye aur baat terī galī meñ na aa.eñ ham
lekin ye kyā ki shahr tirā chhoḌ jaa.eñ ham

muddat huī hai kū-e-butāñ kī taraf ga.e
āvārgī se dil ko kahāñ tak bachā.eñ ham

shāyad ba-qaid-e-zīst ye saa.at na aa sake
tum dāstān-e-shauq suno aur sunā.eñ ham

be-nūr ho chukī hai bahut shahr kī fazā
tārīk rāstoñ meñ kahīñ kho na jaa.eñ ham

us ke baġhair aaj bahut jī udaas hai
'jālib' chalo kahīñ se use DhūñDh laa.eñ ham

ye aur baat teri gali mein na aaen hum
lekin ye kya ki shahr tera chhoD jaen hum

muddat hui hai ku-e-butan ki taraf gae
aawargi se dil ko kahan tak bachaen hum

shayad ba-qaid-e-zist ye saat na aa sake
tum dastan-e-shauq suno aur sunaen hum

be-nur ho chuki hai bahut shahr ki faza
tarik raston mein kahin kho na jaen hum

us ke baghair aaj bahut ji udas hai
'jalib' chalo kahin se use DhunDh laen hum


Source: Book : kulliyat-e-habib jaalib (Pg. 26)

Leave a comment

+