Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Fana bulandshahri

  • Ghazal


ai sanam tujhko hum bhula na sake


ai sanam tujh ko ham bhulā na sake
dil se dāġh-e-vafā miTā na sake

allāh allāh us āstāñ kī kashish
sar jhukāyā to sar uThā na sake

miT ga.e shauq-e-dīd meñ lekin
aap jalva hameñ dikhā na sake

terī chāhat meñ dard vo paayā
ham zamāne meñ chain pā na sake

de ke dil tum ko jaan bhī de dī
phir bhī apnā tumheñ banā na sake

jab se nisbat huī tire dar se
ham kisī dar pe sar jhukā na sake

ishq meñ ye ajab tamāsha hai
un ko paayā to ḳhud ko pā na sake

aisī badlī havā zamāne kī
zaḳhm siine ke muskurā na sake

tum 'fanā' kī lahad pe ba.ad-e-fanā
aa ke do phuul bhī chaḌhā na sake

ai sanam tujh ko hum bhula na sake
dil se dagh-e-wafa miTa na sake

allah allah us aastan ki kashish
sar jhukaya to sar uTha na sake

miT gae shauq-e-did mein lekin
aap jalwa hamein dikha na sake

teri chahat mein dard wo paya
hum zamane mein chain pa na sake

de ke dil tum ko jaan bhi de di
phir bhi apna tumhein bana na sake

jab se nisbat hui tere dar se
hum kisi dar pe sar jhuka na sake

ishq mein ye ajab tamasha hai
un ko paya to KHud ko pa na sake

aisi badli hawa zamane ki
zaKHm sine ke muskura na sake

tum 'fana' ki lahad pe baad-e-fana
aa ke do phul bhi chaDha na sake


Leave a comment

+