koī us ke barābar ho gayā hai
ye sunte hī vo patthar ho gayā hai
judā.ī kā hameñ imkān to thā
magar ab din muqarrar ho gayā hai
sabhī hairat se mujh ko tak rahe haiñ
ye kiyā tahrīr mujh par ho gayā hai
asar hai ye hamārī dastakoñ kā
jahāñ dīvār thī dar ho gayā hai
jise dekho ġhazal pahne hue hai
bahut sastā ye zevar vo gayā hai
koi us ke barabar ho gaya hai
ye sunte hi wo patthar ho gaya hai
judai ka hamein imkan to tha
magar ab din muqarrar ho gaya hai
sabhi hairat se mujh ko tak rahe hain
ye kiya tahrir mujh par ho gaya hai
asar hai ye hamari dastakon ka
jahan diwar thi dar ho gaya hai
jise dekho ghazal pahne hue hai
bahut sasta ye zewar wo gaya hai
Leave a comment