vo mauj-e-havā jo abhī bahne kī nahīñ hai
ham jānte haiñ aap se kahne kī nahīñ hai
yuuñ ḳhush na ho ai shahr-e-nigārāñ ke dar o baam
ye vādi-e-saffāk bhī rahne kī nahīñ hai
ai kaash koī koh-e-nidā hī se pukāre
dīvār-e-sukūt aap hī Dhahne kī nahīñ hai
kyuuñ aks-e-gurezāñ se chamak bujh ga.ī dil kī
ye raat to mahtāb ke gahne kī nahīñ hai
raqqāsa-e-sahrā-e-junūñ bhī hai yahī mauj
yak chashma-e-ḳhūñ-nāb se bahne kī nahīñ hai
ik tarfa tamāshā hai mujhe shoḳhi-e-guftār
āshuftagi-e-'mīr' bhī sahne kī nahīñ hai
wo mauj-e-hawa jo abhi bahne ki nahin hai
hum jaante hain aap se kahne ki nahin hai
yun KHush na ho ai shahr-e-nigaran ke dar o baam
ye wadi-e-saffak bhi rahne ki nahin hai
ai kash koi koh-e-nida hi se pukare
diwar-e-sukut aap hi Dhahne ki nahin hai
kyun aks-e-gurezan se chamak bujh gai dil ki
ye raat to mahtab ke gahne ki nahin hai
raqqasa-e-sahra-e-junun bhi hai yahi mauj
yak chashma-e-KHun-nab se bahne ki nahin hai
ek tarfa tamasha hai mujhe shoKHi-e-guftar
aashuftagi-e-'mir' bhi sahne ki nahin hai
Leave a comment