Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Taban Abdul Hai

  • Ghazal


yan talak ke hai tere hijr mein fariyaad ki bas


yaañ talak ke hai tire hijr meñ fariyād ki bas
na huā tū bhī kabhī haa.e ye irshād ki bas

ek bulbul bhī chaman meñ na rahī ab kī fasal
zulm aisā hī kiyā tū ne ai sayyād ki bas

be-sutūñ khod ke sar phoḌ diyā jī apnā
kaam aisā hī huā tujh se ai farhād ki bas

dil kī hasrat na rahī dil meñ mire kuchh baaqī
ek hī teġh lagā aisī ai jallād ki bas

ishq meñ us ke bagūle ki tirā ai 'tābāñ'
ḳhaak apnī ko diyā yaañ ta.iiñ barbād ki bas

yan talak ke hai tere hijr mein fariyaad ki bas
na hua tu bhi kabhi hae ye irshad ki bas

ek bulbul bhi chaman mein na rahi ab ki fasal
zulm aisa hi kiya tu ne ai sayyaad ki bas

be-sutun khod ke sar phoD diya ji apna
kaam aisa hi hua tujh se ai farhad ki bas

dil ki hasrat na rahi dil mein mere kuchh baqi
ek hi tegh laga aisi ai jallad ki bas

ishq mein us ke bagule ki tera ai 'taban'
KHak apni ko diya yan tain barbaad ki bas


Leave a comment

+