Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Najeeb Ahmad

  • Ghazal


tere hamdam tere hamraaz hua karte the


tere hamdam tire hamrāz huā karte the
ham tire saath tirā zikr kiyā karte the

DhūñD lete the lakīroñ meñ mohabbat kī lakīr
an-kahī baat pe sau jhagḌe kiyā karte the

ik tire lams kī ḳhushbū ko pakaḌne ke liye
titliyāñ haath se ham chhoḌ diyā karte the

vasl kī dhuup baḌī sard huā kartī thī
ham tire hijr kī chhāñv meñ jalā karte the

tū ne ai sañg-dilī! aaj jise dekhā hai
ham use dekh ke dil thaam liyā karte the

tere hamdam tere hamraaz hua karte the
hum tere sath tera zikr kiya karte the

DhunD lete the lakiron mein mohabbat ki lakir
an-kahi baat pe sau jhagDe kiya karte the

ek tere lams ki KHushbu ko pakaDne ke liye
titliyan hath se hum chhoD diya karte the

wasl ki dhup baDi sard hua karti thi
hum tere hijr ki chhanw mein jala karte the

tu ne ai sang-dili! aaj jise dekha hai
hum use dekh ke dil tham liya karte the


Source: Book : Funoon (Monthly) (Pg. 375) Author : Ahmad Nadeem Qasmi Publication : 4 Maklood Road, Lahore (Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23) Edition : Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23

Leave a comment

+