Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Naresh Kumar Dard

  • Ghazal


ummid-war-e-lutf nahin hain kisi se hum


ummīd-vār-e-lutf nahīñ haiñ kisī se ham
māyūs is liye bhī nahīñ zindagī se ham

un kī jafā.eñ sah na sake ḳhush-dilī se ham
kyā sulh kar sakeñge ġham-e-zindagī se ham

haiñ mast aur be-ḳhud-o-sarshār aaj tak
ik roz kyā mile the kisī ajnabī se ham

vo ab hamāre pahlū meñ baiThe hue haiñ 'dard'
Dar ye hai mar na jaa.eñ kahīñ is ḳhushī se ham

ummid-war-e-lutf nahin hain kisi se hum
mayus is liye bhi nahin zindagi se hum

un ki jafaen sah na sake KHush-dili se hum
kya sulh kar sakenge gham-e-zindagi se hum

hain mast aur be-KHud-o-sarshaar aaj tak
ek roz kya mile the kisi ajnabi se hum

wo ab hamare pahlu mein baiThe hue hain 'dard'
Dar ye hai mar na jaen kahin is KHushi se hum


Source: Book : Nuquush-e-daaG (Pg. 172) Author : Sahir Hoshiyarpuri Publication : Haryana Urdu Acadami (1992) Edition : 1992

Leave a comment

+