Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jaan Nisar Akhtar

  • Ghazal


chaunk chaunk uThti hai mahlon ki faza raat gae


chauñk chauñk uThtī hai mahloñ kī fazā raat ga.e
kaun detā hai ye galiyoñ meñ sadā raat ga.e

ye haqā.eq kī chaTānoñ se tarāshī duniyā
oḌh letī hai tilismoñ kī ridā raat ga.e

chubh ke rah jaatī hai siine meñ badan kī ḳhushbū
khol detā hai koī band-e-qabā raat ga.e

aao ham jism kī sham.oñ se ujālā kar leñ
chāñd niklā bhī to niklegā zarā raat ga.e

tū na ab aa.e to kyā aaj talak aatī hai
sīḌhiyoñ se tire qadmoñ kī sadā raat ga.e

chaunk chaunk uThti hai mahlon ki faza raat gae
kaun deta hai ye galiyon mein sada raat gae

ye haqaeq ki chaTanon se tarashi duniya
oDh leti hai tilismon ki rida raat gae

chubh ke rah jati hai sine mein badan ki KHushbu
khol deta hai koi band-e-qaba raat gae

aao hum jism ki shamon se ujala kar len
chand nikla bhi to niklega zara raat gae

tu na ab aae to kya aaj talak aati hai
siDhiyon se tere qadmon ki sada raat gae


Leave a comment

+