Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Taban Abdul Hai

  • Ghazal


KHub-ru jo ek ka mahbub nahin


ḳhūb-rū jo ek kā mahbūb nahīñ
aise harjā.ī se milnā ḳhuub nahīñ

cholī nīchī mat pahan ai jāma-zeb
is meñ chhab taḳhtī kā kuchh uslūb nahīñ

maiñ to tālib dil se hūñgā diin kā
daulat-e-duniyā mujhe matlūb nahīñ

sabr kab tak hijr meñ tere karūñ
maiñ tirā āshiq huuñ kui ayyūb nahīñ

yaar kī 'tābāñ' zanaḳhdāñ ko na chaah
dekh kahtā huuñ kueñ meñ Duub nahīñ

KHub-ru jo ek ka mahbub nahin
aise harjai se milna KHub nahin

choli nichi mat pahan ai jama-zeb
is mein chhab taKHti ka kuchh uslub nahin

main to talib dil se hunga din ka
daulat-e-duniya mujhe matlub nahin

sabr kab tak hijr mein tere karun
main tera aashiq hun kui ayyub nahin

yar ki 'taban' zanaKHdan ko na chah
dekh kahta hun kuen mein Dub nahin


Leave a comment

+