hasīnoñ meñ rutba do-bālā hai terā
ki bīmar-e-ulfat masīhā hai terā
tamāshā hai jo hai tamāshā-e-ālam
vo is tarah mahv-e-tamāshā hai terā
sitam is pe kiijo mirī jaañ samajh kar
nahīñ dast o dāmāñ hamārā hai terā
magar kuchh na kuchh chaal kartā hai tujh par
vo dam-bāz yuuñ dam jo bhartā hai terā
hasinon mein rutba do-baala hai tera
ki bimar-e-ulfat masiha hai tera
tamasha hai jo hai tamasha-e-alam
wo is tarah mahw-e-tamasha hai tera
sitam is pe kijo meri jaan samajh kar
nahin dast o daman hamara hai tera
magar kuchh na kuchh chaal karta hai tujh par
wo dam-baz yun dam jo bharta hai tera
Leave a comment