koī shikva to zer-e-lab hogā
kuchh ḳhamoshī kā bhī sabab hogā
maiñ bhī huuñ bazm meñ raqīb bhī hai
āḳhirī faisla to ab hogā
aa.eñ mai-ḳhāne meñ kabhī vaa.iz
huur bhī hogī aur sab hogā
bol ai mere dil kī tārīkī
terā sūraj tulūa kab hogā
suntā hogā sadā.eñ us dil kī
shām-e-tanhā.ī meñ vo jab hogā
kab chhaTeñgī ye badliyāñ ġham kī
saaf matl.a ye 'josh' kab hogā
koi shikwa to zer-e-lab hoga
kuchh KHamoshi ka bhi sabab hoga
main bhi hun bazm mein raqib bhi hai
aaKHiri faisla to ab hoga
aaen mai-KHane mein kabhi waiz
hur bhi hogi aur sab hoga
bol ai mere dil ki tariki
tera suraj tulua kab hoga
sunta hoga sadaen us dil ki
sham-e-tanhai mein wo jab hoga
kab chhaTengi ye badliyan gham ki
saf matla ye 'josh' kab hoga
Leave a comment