ye tīra-baḳht bayānoñ meñ qaid rahte haiñ
vatan hamāre tarānoñ meñ qaid rahte haiñ
ḳhudī se duur rag-e-hā-e-sañg meñ sākit
mire yaqīn gumānoñ meñ qaid rahte haiñ
saḌak pe ḳhvāhisheñ be-nām-o-nañg phirtī haiñ
zamīñ ke ḳhvāb zamānoñ meñ qaid rahte haiñ
kahā falak ne ye uḌte hue parindoñ se
zamīñ pe log makānoñ meñ qaid rahte haiñ
mire ḳhudā ne kahā hai ki har jagah hai vo
tire ḳhudā to fasānoñ meñ qaid rahte haiñ
ye tira-baKHt bayanon mein qaid rahte hain
watan hamare taranon mein qaid rahte hain
KHudi se dur rag-e-ha-e-sang mein sakit
mere yaqin gumanon mein qaid rahte hain
saDak pe KHwahishen be-nam-o-nang phirti hain
zamin ke KHwab zamanon mein qaid rahte hain
kaha falak ne ye uDte hue parindon se
zamin pe log makanon mein qaid rahte hain
mere KHuda ne kaha hai ki har jagah hai wo
tere KHuda to fasanon mein qaid rahte hain
Leave a comment