Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Daur Afridi

  • Ghazal


maine chahat ke git gae the


maiñ ne chāhat ke giit gaa.e the
sunñe vaale magar parā.e the

umr bhar ko ḳhushī kā rog lagā
ek do din ko muskurā.e the

rāhateñ hī na kar sake hāsil
rāhatoñ ke mahal banā.e the

mere ḳhvāboñ kī raushnī meñ kabhī
in laboñ par laboñ ke saa.e the

kis ne khīñcheñ jafā kī talvāreñ
kis ne armāñ ke ḳhuuñ bahā.e the

bah rahī haiñ nashāt kī nadiyāñ
kyā ishāre the kyā kinā.e the

maiñ ne chāhat ke āsmāñ par dost
chāñd tāroñ ke daf bajā.e the

haa.e vo din jo tere saath ga.e
naġhma-o-nūr meñ nahā.e the

main ne chahat ke git gae the
sunne wale magar parae the

umr bhar ko KHushi ka rog laga
ek do din ko muskurae the

rahaten hi na kar sake hasil
rahaton ke mahal banae the

mere KHwabon ki raushni mein kabhi
in labon par labon ke sae the

kis ne khinchen jafa ki talwaren
kis ne arman ke KHun bahae the

bah rahi hain nashat ki nadiyan
kya ishaare the kya kinae the

main ne chahat ke aasman par dost
chand taron ke daf bajae the

hae wo din jo tere sath gae
naghma-o-nur mein nahae the


Source:

Leave a comment

+