royā na huuñ jahāñ meñ garebāñ ko apne phaaḌ
aisā na koī dasht hai zālim na kui ujaaḌ
aatā hai mohtasib pa-e-ta.azīr mai-kasho
pagḌī ko us kī pheñk do dāḌhī ko lo ukhāḌ
sābit thā jab talak ye garebāñ ḳhafā thā maiñ
karte hī chaak khul ga.e chhātī ke sab kivāḌ
mere ġhubār ne to tire dil meñ kī hai jā
go merī musht-e-ḳhāk se dāman kī ta.iiñ tū jhaaḌ
'tābāñ' zi-bas havā-e-junūñ sar meñ hai mire
ab maiñ huuñ aur dasht hai ye sar hai aur pahāḌ
roya na hun jahan mein gareban ko apne phaD
aisa na koi dasht hai zalim na kui ujaD
aata hai mohtasib pa-e-tazir mai-kasho
pagDi ko us ki phenk do daDhi ko lo ukhaD
sabit tha jab talak ye gareban KHafa tha main
karte hi chaak khul gae chhati ke sab kiwaD
mere ghubar ne to tere dil mein ki hai ja
go meri musht-e-KHak se daman ki tain tu jhaD
'taban' zi-bas hawa-e-junun sar mein hai mere
ab main hun aur dasht hai ye sar hai aur pahaD
Leave a comment