Subscribe to our newsletter and get our newest updates

JaiKrishn Chaudhri Habeeb

  • Ghazal


aa gae wo mere KHayalon mein


aa ga.e vo mire ḳhayāloñ meñ
ghanTiyāñ baj uThīñ shivāloñ meñ

raat ko chiir kar kiran ubhrī
raat ghul mil ga.ī ujāloñ meñ

nigah-e-shoḳh terī kyā uTThī
bijlī kauñdhī kamal ke tāloñ meñ

ek lamha ḳhushī kā kyā kam hai
zindagī kab hai maah sāloñ meñ

dekh kar pal meñ phuul girtā huā
jhurjhurī sī hai husn vāloñ meñ

hāsil-e-zīst hai vahī lamheñ
jo ki guzre tire ḳhayāloñ meñ

jab kiyā zikr be-misāloñ kā
zindagī bas ga.ī misāloñ meñ

māldāroñ se kyā milegā 'habīb'
pā.egā kuchh preshāñ-hāloñ meñ

aa gae wo mere KHayalon mein
ghanTiyan baj uThin shiwalon mein

raat ko chir kar kiran ubhri
raat ghul mil gai ujalon mein

nigah-e-shoKH teri kya uTThi
bijli kaundhi kamal ke talon mein

ek lamha KHushi ka kya kam hai
zindagi kab hai mah salon mein

dekh kar pal mein phul girta hua
jhurjhuri si hai husn walon mein

hasil-e-zist hai wahi lamhen
jo ki guzre tere KHayalon mein

jab kiya zikr be-misalon ka
zindagi bas gai misalon mein

maldaron se kya milega 'habib'
paega kuchh preshan-haalon mein


Source: Book : نغمۂ زندگی (Pg. 117) Author : جے کرشن چودھری حبیب Publication : جے کرشن چودھری حبیب

Leave a comment

+