tohfa-e-sher-o-suḳhan laa.e haiñ
hadiya-e-tauba-shikan laa.e haiñ
aap kī bazm meñ a ham-suḳhano
apnā sarmāya-e-fan laa.e haiñ
sher kuchh laa.e haiñ jiddat-āmez
kuchh ba-andāz-e-kuhan laa.e haiñ
rang-o-āhang ke gul-daste meñ
phuul kyā saarā chaman laa.e haiñ
sher kī shakl meñ qirtās pe ham
gauhar-o-la.al-e-yaman laa.e haiñ
dil-figārī ke sanam-ḳhāne meñ
dil-navāzī kā chalan laa.e haiñ
lafz meñ nik.hat-e-gul Dhaal ke ham
dasht-e-ġhurbat meñ vatan laa.e haiñ
aaj kī tīra-shabī meñ yaaro
nuur kī ek karan laa.e haiñ
tohfa-e-sher-o-suKHan lae hain
hadiya-e-tauba-shikan lae hain
aap ki bazm mein a ham-suKHano
apna sarmaya-e-fan lae hain
sher kuchh lae hain jiddat-amez
kuchh ba-andaz-e-kuhan lae hain
rang-o-ahang ke gul-daste mein
phul kya sara chaman lae hain
sher ki shakl mein qirtas pe hum
gauhar-o-lal-e-yaman lae hain
dil-figari ke sanam-KHane mein
dil-nawazi ka chalan lae hain
lafz mein nikhat-e-gul Dhaal ke hum
dasht-e-ghurbat mein watan lae hain
aaj ki tira-shabi mein yaro
nur ki ek karan lae hain
Leave a comment