Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ehteram Islam

  • Ghazal


muntashir har shai qarine se saja di jaegi


muntashir har shai qarīne se sajā dī jā.egī
yā mire kamre kī shaḳhsiyyat miTā dī jā.egī

saath rakhiye kaam aa.egā bahut nām-e-ḳhudā
ḳhauf gar jaagā to phir kis ko sadā dī jā.egī

aag bhaḌkegī havā pā kar baḌā sach ye nahīñ
sach baḌā ye hai ki sho.aloñ ko havā dī jā.egī

be-Thikāna yuuñ kiyā jā.egā ik jaltā charāġh
tāqche meñ mom kī guḌiyā biThā dī jā.egī

aa.ina hālāt kā aa.egā jo bhī dekhne
koī umda sī ġhazal us ko sunā dī jā.egī

bolne par koī pābandī nahīñ kuchh boliye
haañ magar āvāz uTThegī dabā dī jā.egī

sar-ba-kaf ho jā.eñge pīr-o-javāñ sab dekhnā
desh kī ḳhātir matā-e-jāñ luTā dī jā.egī

ġhair-mumkin kuchh nahīñ duniyā meñ lekin 'ehtirām'
aap kī sohbat bhalā kaise bhulā dī jā.egī

muntashir har shai qarine se saja di jaegi
ya mere kamre ki shaKHsiyyat miTa di jaegi

sath rakhiye kaam aaega bahut nam-e-KHuda
KHauf gar jaga to phir kis ko sada di jaegi

aag bhaDkegi hawa pa kar baDa sach ye nahin
sach baDa ye hai ki shoalon ko hawa di jaegi

be-Thikana yun kiya jaega ek jalta charagh
taqche mein mom ki guDiya biTha di jaegi

aaina haalat ka aaega jo bhi dekhne
koi umda si ghazal us ko suna di jaegi

bolne par koi pabandi nahin kuchh boliye
han magar aawaz uTThegi daba di jaegi

sar-ba-kaf ho jaenge pir-o-jawan sab dekhna
desh ki KHatir mata-e-jaan luTa di jaegi

ghair-mumkin kuchh nahin duniya mein lekin 'ehtiram'
aap ki sohbat bhala kaise bhula di jaegi

Videos
This video is playing from YouTube Videos
This video is playing from YouTube Ehteram Islam

Source: Book : Hazir hai ehteram (Pg. 58) Author : Ehitaram Islam Publication : Anjuman Prakashan (2014) Edition : 2014

Leave a comment

+