Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Nadeem Bhabha

  • Ghazal


suhulat ho aziyyat ho tumhaare sath rahna hai


suhulat ho aziyyat ho tumhāre saath rahnā hai
ki ab koī bhī sūrat ho tumhāre saath rahnā hai

hamāre rābte hī is qadar haiñ, tum ho aur bas tum
tumheñ sab se mohabbat ho tumhāre saath rahnā hai

aur ab ghar-bār jab ham chhoḌ kar aa hī chuke haiñ to
tumheñ jitnī bhī nafrat ho tumhāre saath rahnā hai

hamāre paañv meñ kīleñ aur ā.ankhoñ se lahū Tapke
hamārī jo bhī hālat ho tumhāre saath rahnā hai

tumheñ har sub.h aur har shaam hai bas dekhte rahnā
tum itne ḳhūbsūrat ho tumhāre saath rahnā hai

suhulat ho aziyyat ho tumhaare sath rahna hai
ki ab koi bhi surat ho tumhaare sath rahna hai

hamare rabte hi is qadar hain, tum ho aur bas tum
tumhein sab se mohabbat ho tumhaare sath rahna hai

aur ab ghar-bar jab hum chhoD kar aa hi chuke hain to
tumhein jitni bhi nafrat ho tumhaare sath rahna hai

hamare panw mein kilen aur aaankhon se lahu Tapke
hamari jo bhi haalat ho tumhaare sath rahna hai

tumhein har subh aur har sham hai bas dekhte rahna
tum itne KHubsurat ho tumhaare sath rahna hai


Leave a comment

+