Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Abbas Dana

  • Ghazal


koi subut-e-jurm jagah par nahin mila


koī subūt-e-jurm jagah par nahīñ milā
TuuTe paḌe the aa.ine patthar nahīñ milā

patthar ke jaisī be-hisī us kā nasīb hai
vo qaum jis ko koī payambar nahīñ milā

jab tak vo jhuuT kahtā rahā sar pe taaj thā
sach kah diyā to taaj hī kyā sar nahīñ milā

ham rāt-bhar jaleñ bhī tumheñ raushnī bhī deñ
ham ko charāġh jaisā muqaddar nahīñ milā

shahr-e-sitam bhī jashn-e-amāñ mat manā abhī
shāyad sitamgaroñ ko tirā ghar nahīñ milā

maañ baap kī duāoñ se baḌh kar jahez meñ
dulhan ko aur koī bhī zevar nahīñ milā

'dānā' vo ab bhī aatā hai tanhā.iyoñ meñ yaad
duniyā kī bhiiḌ meñ jo bichhaḌ kar nahīñ milā

koi subut-e-jurm jagah par nahin mila
TuTe paDe the aaine patthar nahin mila

patthar ke jaisi be-hisi us ka nasib hai
wo qaum jis ko koi payambar nahin mila

jab tak wo jhuT kahta raha sar pe taj tha
sach kah diya to taj hi kya sar nahin mila

hum raat-bhar jalen bhi tumhein raushni bhi den
hum ko charagh jaisa muqaddar nahin mila

shahr-e-sitam bhi jashn-e-aman mat mana abhi
shayad sitamgaron ko tera ghar nahin mila

man bap ki duaon se baDh kar jahez mein
dulhan ko aur koi bhi zewar nahin mila

'dana' wo ab bhi aata hai tanhaiyon mein yaad
duniya ki bhiD mein jo bichhaD kar nahin mila


Source: Book : Fanoos (Pg. 11) Author : Abbas Dana Publication : Shahid Book Depot Stedum Road Noor Nagar Rakhyal Ahmdabad (1993) Edition : 1993

Leave a comment

+