Subscribe to our newsletter and get our newest updates

JaiKrishn Chaudhri Habeeb

  • Ghazal


na kyon apni mohabbat ko hi be-lafz-o-bayan kar len


na kyoñ apnī mohabbat ko hī be-lafz-o-bayāñ kar leñ
ḳhamoshī ko zabāñ kar leñ nazar ko dāstāñ kar leñ

hasīñ hai husn se tere ye pastī bhī bulandī bhī
na kyoñ phir tujh ko sajde ham jahāñ chāheñ vahāñ kar leñ

tabassum ko lab-e-lālī pe apne kuchh bikharne do
dil-e-vīrāñ ko dam bhar ham bhī raqs-e-gulistāñ kar leñ

yahī mausam yahī din the ki ham se qāfila chhūTā
mohabbat se ham ik baar aur yād-e-kārvāñ kar leñ

shikasta par haiñ pahuñche kis tarah ujḌe nasheman meñ
ba-sad-hasrat nigāheñ kyoñ na sū-e-āshiyāñ kar leñ

nigāheñ dekheñ saaqī kī ki us ke haath meñ sāġhar
zarā zauq-e-nazar kā aaj ham bhī intihā kar leñ

'habīb' is zindagī meñ ye badī bad-sūratī kaisī
hasīñ ham kyoñ na husn-e-yār se apnā jahāñ kar leñ

na kyon apni mohabbat ko hi be-lafz-o-bayan kar len
KHamoshi ko zaban kar len nazar ko dastan kar len

hasin hai husn se tere ye pasti bhi bulandi bhi
na kyon phir tujh ko sajde hum jahan chahen wahan kar len

tabassum ko lab-e-lali pe apne kuchh bikharne do
dil-e-viran ko dam bhar hum bhi raqs-e-gulistan kar len

yahi mausam yahi din the ki hum se qafila chhuTa
mohabbat se hum ek bar aur yaad-e-karwan kar len

shikasta par hain pahunche kis tarah ujDe nasheman mein
ba-sad-hasrat nigahen kyon na su-e-ashiyan kar len

nigahen dekhen saqi ki ki us ke hath mein saghar
zara zauq-e-nazar ka aaj hum bhi intiha kar len

'habib' is zindagi mein ye badi bad-surati kaisi
hasin hum kyon na husn-e-yar se apna jahan kar len


Source: Book : نغمۂ زندگی (Pg. 57) Author : جے کرشن چودھری حبیب Publication : جے کرشن چودھری حبیب

Leave a comment

+