Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jahanzeb Sahir

  • Ghazal


faqir mauji KHarab haalon ka kya banega


faqīr maujī ḳharāb hāloñ kā kyā banegā
ye ishq kartī udaas nasloñ kā kyā banegā

hamāre purkhoñ ne ham se behtar guzār lī hai
maiñ sochtā huuñ hamāre bachchoñ kā kyā banegā

hamāre jismoñ kā ḳhaak honā to Thiik hai par
tumhārī āñkhoñ tumhāre hoñToñ kā kyā banegā

hameñ to rone meñ koī diqqat nahīñ hai lekin
vo pūchhnā thā ki rone vāloñ kā kyā banegā

mazāq uḌāte haiñ log farzī kahāniyoñ kā
ki sīdhe-sāde se un buzurgoñ kā kyā banegā

talāsh kartī haiñ is badan kī bashāratoñ ko
haqīr sochoñ harīs bāñhoñ kā kyā banegā

vo husn aise hī ḳharch hotā rahā to sāhir
hamārī nazmoñ hamārī ġhazloñ kā kyā banegā

faqir mauji KHarab haalon ka kya banega
ye ishq karti udas naslon ka kya banega

hamare purkhon ne hum se behtar guzar li hai
main sochta hun hamare bachchon ka kya banega

hamare jismon ka KHak hona to Thik hai par
tumhaari aankhon tumhaare honTon ka kya banega

hamein to rone mein koi diqqat nahin hai lekin
wo puchhna tha ki rone walon ka kya banega

mazaq uDate hain log farzi kahaniyon ka
ki sidhe-sade se un buzurgon ka kya banega

talash karti hain is badan ki bashaaraton ko
haqir sochon haris banhon ka kya banega

wo husn aise hi KHarch hota raha to sahir
hamari nazmon hamari ghazlon ka kya banega


Leave a comment

+