Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Abdul Ahad Saaz

  • Ghazal


maine apni ruh ko apne tan se alag kar rakkha hai


maiñ ne apnī ruuh ko apne tan se alag kar rakkhā hai
yuuñ nahīñ jaise jism ko pairāhan se alag kar rakkhā hai

mere lafzoñ se guzro mujh se dar-guzro ki maiñ ne
fan ke pairā.e meñ ḳhud ko fan se alag kar rakkhā hai

fātiha paḌh kar yahīñ subuk ho leñ ahbāb chalo varna
maiñ ne apnī mayyat ko madfan se alag kar rakkhā hai

ghar vaale mujhe ghar par dekh ke ḳhush haiñ aur vo kyā jāneñ
maiñ ne apnā ghar apne maskan se alag kar rakkhā hai

is pe na jaao kaise kiyā hai maiñ ne mujh ko ḳhud se alag
bas ye dekho kaise anokhe-pan se alag kar rakkhā hai

umr kā rasta aur koī hai vaqt ke manzar aur kahīñ
maiñ ne bhī donoñ ko baham bachpan se alag kar rakkhā hai

dard kī gutthī suljhāne phir kyuuñ aa.e ho ḳhirad vālo?
bābā! ham ne tum ko jis uljhan se alag kar rakkhā hai

main ne apni ruh ko apne tan se alag kar rakkha hai
yun nahin jaise jism ko pairahan se alag kar rakkha hai

mere lafzon se guzro mujh se dar-guzro ki main ne
fan ke pairae mein KHud ko fan se alag kar rakkha hai

fatiha paDh kar yahin subuk ho len ahbab chalo warna
main ne apni mayyat ko madfan se alag kar rakkha hai

ghar wale mujhe ghar par dekh ke KHush hain aur wo kya jaanen
main ne apna ghar apne maskan se alag kar rakkha hai

is pe na jao kaise kiya hai main ne mujh ko KHud se alag
bas ye dekho kaise anokhe-pan se alag kar rakkha hai

umr ka rasta aur koi hai waqt ke manzar aur kahin
main ne bhi donon ko baham bachpan se alag kar rakkha hai

dard ki gutthi suljhane phir kyun aae ho KHirad walo?
baba! hum ne tum ko jis uljhan se alag kar rakkha hai


Source: Book : sargoshiyan zamanon ki (Pg. 18)

Leave a comment

+