Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ejazulhaq Shahab

  • Ghazal


ek aaftab ka rang ek mahtab ka rang


ik āftāb kā rañg ek māhtāb kā rañg
milā ke Dhālā gayā hai tire shabāb kā rañg

numāyāñ jism hai aur shoḳh hai naqāb kā rañg
badal rahā hai zamāne meñ ab hijāb kā rañg

milī nazar jo mirī daf.atan sar-e-mahfil
hayā se ruḳh pe tere aa gayā gulāb kā rañg

nikal paḌe haiñ jo jugnū liye hue qindīl
utar gayā hai tabhī se is āftāb kā rañg

sunā hai taḳht larazte haiñ taaj hilte haiñ
jo ham ġhazal meñ milāte haiñ inqalāb kā rañg

salīqa ziist ko jiine kā ham ne sīkhā hai
saroñ pe jab se chaḌhā hai terī kitāb kā rañg

vo pahle pahle se tevar havā hue dekho
uḌā uḌā sā hai kuchh din se ab janāb kā rañg

kisī ke sar pe chaḌhā rañg 'mīr'-o-'ġhālib' kā
kisī ke sar pe chaḌhegā kabhī 'shahāb' kā rañg

ek aaftab ka rang ek mahtab ka rang
mila ke Dhaala gaya hai tere shabab ka rang

numayan jism hai aur shoKH hai naqab ka rang
badal raha hai zamane mein ab hijab ka rang

mili nazar jo meri dafatan sar-e-mahfil
haya se ruKH pe tere aa gaya gulab ka rang

nikal paDe hain jo jugnu liye hue qindil
utar gaya hai tabhi se is aaftab ka rang

suna hai taKHt larazte hain taj hilte hain
jo hum ghazal mein milate hain inqalab ka rang

saliqa zist ko jine ka hum ne sikha hai
saron pe jab se chaDha hai teri kitab ka rang

wo pahle pahle se tewar hawa hue dekho
uDa uDa sa hai kuchh din se ab janab ka rang

kisi ke sar pe chaDha rang 'mir'-o-'ghaalib' ka
kisi ke sar pe chaDhega kabhi 'shahab' ka rang


Leave a comment

+