Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Yasin Ali Khan Markaz

  • Ghazal


ayan ho aap begana banaya


ayaañ ho aap begāna banāyā
vajūd-e-ḳhāk kā shāna banāyā

tū hai alfāz se māhir ai vaa.iz
mujhe be-kaif-o-kam-ma.anā banāyā

kiyā iz.hār jab maiñ rāz-e-haq ko
to aalam mujh ko rindāna banāyā

hañsī se merī is ne Taal dī baat
maiñ thā hoshiyār dīvāna banāyā

mujhe saaqī ne be-minnat ke dī mai
ḳhumār-e-ishq-e-mardāna banāyā

pukārā ishq ne jā DhūñDh le yaar
tan-e-ḳhākī ko hai ḳhāna banāyā

uḌāyā baat meñ jo ḳhud-parastī
mujhe mul de ke mastāna banāyā

maiñ jaanā aap ko har haal maz.har
ba-zāhir banda farzāna banāyā

ai 'markaz' tujh se hai sab shaan zāhir
ajab ā.īna shāhāna banāyā

ayan ho aap begana banaya
wajud-e-KHak ka shana banaya

tu hai alfaz se mahir ai waiz
mujhe be-kaif-o-kam-mana banaya

kiya izhaar jab main raaz-e-haq ko
to aalam mujh ko rindana banaya

hansi se meri is ne Tal di baat
main tha hoshiyar diwana banaya

mujhe saqi ne be-minnat ke di mai
KHumar-e-ishq-e-mardana banaya

pukara ishq ne ja DhunDh le yar
tan-e-KHaki ko hai KHana banaya

uDaya baat mein jo KHud-parasti
mujhe mul de ke mastana banaya

main jaana aap ko har haal mazhar
ba-zahir banda farzana banaya

ai 'markaz' tujh se hai sab shan zahir
ajab aaina shahana banaya


Source: Dewan-e-Markaz

Leave a comment

+