kyā ruup baras rahā hai
har aa.ina hañs rahā hai
thā hāsil-e-ishq apnā
jo rizq-e-havas rahā hai
sunte haiñ vo āshiyāñ thā
apnā jo qafas rahā hai
vīrān haiñ sab muñDereñ
jī kaisā taras rahā hai
kuchh bhī nahīñ ghar meñ 'yūsuf'
ik hausla bas rahā hai
kya rup baras raha hai
har aaina hans raha hai
tha hasil-e-ishq apna
jo rizq-e-hawas raha hai
sunte hain wo aashiyan tha
apna jo qafas raha hai
viran hain sab munDeren
ji kaisa taras raha hai
kuchh bhi nahin ghar mein 'yusuf'
ek hausla bas raha hai
Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab
Leave a comment