Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ghulam Mohammad Qasir

  • Ghazal


kashti bhi nahin badli dariya bhi nahin badla


kashtī bhī nahīñ badlī dariyā bhī nahīñ badlā
aur Dūbne vāloñ kā jazba bhī nahīñ badlā

tasvīr nahīñ badlī shīsha bhī nahīñ badlā
nazreñ bhī salāmat haiñ chehrā bhī nahīñ badlā

hai shauq-e-safar aisā ik umr se yāroñ ne
manzil bhī nahīñ paa.ī rasta bhī nahīñ badlā

bekār gayā ban meñ sonā mirā sadiyoñ kā
is shahr meñ to ab tak sikka bhī nahīñ badlā

be-samt havāoñ ne har lahr se sāzish kī
ḳhvāboñ ke jazīre kā naqsha bhī nahīñ badlā

kashti bhi nahin badli dariya bhi nahin badla
aur Dubne walon ka jazba bhi nahin badla

taswir nahin badli shisha bhi nahin badla
nazren bhi salamat hain chehra bhi nahin badla

hai shauq-e-safar aisa ek umr se yaron ne
manzil bhi nahin pai rasta bhi nahin badla

bekar gaya ban mein sona mera sadiyon ka
is shahr mein to ab tak sikka bhi nahin badla

be-samt hawaon ne har lahr se sazish ki
KHwabon ke jazire ka naqsha bhi nahin badla


Leave a comment

+