Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ehsan Danish

  • Ghazal


ishq ko taqlid se aazad kar


ishq ko taqlīd se āzād kar
dil se girya aañkh se fariyād kar

baaz aa ai banda-e-husn-e-majāz
yuuñ na apnī zindagī barbād kar

ai ḳhayāloñ ke makīñ nazroñ se duur
merī vīrāñ ḳhalvateñ ābād kar

naza.a meñ hichkī nahīñ aa.ī mujhe
bhūlne vaale ḳhudā-rā yaad kar

husn ko duniyā kī āñkhoñ se na dekh
apnī ik tarz-e-nazar ījād kar

ishrat-e-duniyā hai ik ḳhvāb-e-bahār
kāba-e-dil dard se ābād kar

ab kahāñ 'ehsān' duniyā meñ vafā
tauba kar nādāñ ḳhudā ko yaad kar

ishq ko taqlid se aazad kar
dil se girya aankh se fariyaad kar

baz aa ai banda-e-husn-e-majaz
yun na apni zindagi barbaad kar

ai KHayalon ke makin nazron se dur
meri viran KHalwaten aabaad kar

naza mein hichki nahin aai mujhe
bhulne wale KHuda-ra yaad kar

husn ko duniya ki aankhon se na dekh
apni ek tarz-e-nazar ijad kar

ishrat-e-duniya hai ek KHwab-e-bahaar
kaba-e-dil dard se aabaad kar

ab kahan 'ehsan' duniya mein wafa
tauba kar nadan KHuda ko yaad kar


Leave a comment

+